|
Did you like these Hindi Shayari? If yes then you can share these Hindi Shayari with your friends by sending email or by posting on your webpage or blog or forum. You can also post your own Hindi Shayari here and don't forget to rate these Hindi Shayari.
Show More Hindi Shayari +
Hide More Hindi Shayari -
Aankhon mein khushi (Hindi Shayari)
Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!!
एक कट्टर इंसान ना मिला (Hindi Shayari)
हिन्दुस्तान भी मिला, पकिस्तान भी मिला
कट्टर हिन्दू भी मिला, कट्टर मुसलमान भी मिला
ग़म मन में बस एक यही है दोस्तों,
इस जहाँ में एक कट्टर इंसान ना मिला
खून दंगे, लाठी गोली हर जगह मिले,
पर कही मन की शान्ति का पैगाम ना मिला
अहम् का नशा, फिर बहम का नशा
पर सत्य में डुबो दे ऐसा जाम ना मिला
राम और रहीम तो कई जगह मिले
पर सबको साधता एक भगवान् ना मिला
खुदा भी रो रहा है बट बट के देख लो
उसे इंसान से जहां में, सही मान ना मिला
मजहब के नाम तो पल भर में रख दिए
क्यों इंसान के धर्म का कोई नाम ना मिला
ग़म बस मन में एक यही है दोस्तों
इस जहाँ में एक कट्टर इंसान ना मिला
इस जहाँ में एक कट्टर इंसान ना मिला
Rishta banana aur nibhana (Hindi Shayari)
Rishta banana itna aasan hai
Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna
Aur rishta nibhana itna mushkil hai
Jaise PANI pe PANI se PANI likhna..
Yaad Rakhna (Hindi Shayari)
Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna,
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho,
Door sahi par yaad rakhna.
Fitrat Hai Hamari (Hindi Shayari)
Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari,
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare,
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari.
Sehmi si nigahon mein (Hindi Shayari)
Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge,
Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye,
Hum aapke har gham bhula denge.
Surat se pehle (Hindi Shayari)
Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho.
Gham mein hasne walon ko (Hindi Shayari)
Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.
Gum-e-Zindagi (Hindi Shayari)
Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain..!!
Yaad aaye jo tum (Hindi Shayari)
Yaad aaye jo tum humko abhi…
Dil mein hui hulchul tabhi…
Lafzon ko tham liya zubaan ne haye…
Kehna hai kuchh tumse….par fir kabhi..!!
Nahi Milta (Hindi Shayari)
Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta.
Duniya ka har shauk (Hindi Shayari)
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.
Tajmahal Banva Diya (Hindi Shayari)
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya.
Wo Jaadugar (Hindi Shayari)
Kaatil adaon ka pitaara,
Le aaya wo Jaadugar,
Fasane kisi mohtarma ko,
Fir aaya woh Jaadugar.
Meethi meethi karta woh baatein,
Sajaata ankhiyon mein khwab,
Natkhat jagata saari raatein,
Lekin har lutf kar de dil betaab.
Hasi ke fawware,
Fir laaya woh jaadugar,
Kamsin hoton ko khilaane,
Fir aaya woh jaadugar.
Bhatakti nazre dhoondhti us ek ko,
Jis par hoga agla waar,
Churakar chupke se dil ko,
Bachaa na koi woh tez nazron ke dhaar.
Ghayal karne masoom dilon ko,
Fir aaya woh jaadugar,
Ruswaa karne sabhi mehfilon ko,
Fir aaya won jaadugar.
Khili ek nazuk kali, anjaan uske tewar se,
Dekh kali ko jaadugar khush huaa dil hi dil mein,
Ja pahuncha pehlu mein nadaaan mann ko behlaane,
Lut gayi kali ki kismet jo aa gayi uski baton mein.
Tabaah kar uske wajood ko,
Fir bhaaga woh jaadugar,
Dhoondhne koi aur kali,
Fir kahin pahuncha wo jaadugar.
Haseeno ko apne jaal mein phaasne,
Fir aaya woh jaadugar.
Kuchh sitaron ki chamak (Hindi Shayari)
Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.
Khairaat mein mili khushi (Hindi Shayari)
Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha.
Fitrat aur haalat (Hindi Shayari)
Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna …
Insan kabhi dil ka bura nahi hota…………….!!!!!!!!!!!!!
Yeh silsila-e-ishq (Hindi Shayari)
Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
Muhabbat to kayam rehti hai magar "Insan" toot jate hain!
Hamne mehboob jo badla (Hindi Shayari)
Hamne mehboob jo badla to taajjub kaisa,
Log kafir se musalman bhi to ho jate hain.
Yeh Sawal (Hindi Shayari)
Main uska hoon, ye raaz to woh jaan gaya hai!!
Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta.
|