"Sad Shayari" or dard shayari section of this site is a concept to share the pain of thought about broken heart in love. So don't waste your thoughts and shayaris but
share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayaris with world and we encourage all types of sad poetry in different languages like urdu, hindi, punjabi etc. So, what are you waiting for, just start reading our sad shayari. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these dard shayaris.
Latest Sad Shayari
Zameen Ki Fitrat
ये ज़मीं की फितरत है हर चीज़ सोख लेती है...
वरना इन आँखों से गिरने वाले आंसूओं का भी एक अलग ही समंदर होता...!!!
Woh Pyar Ka Saboot
Woh pyar ka saboot dikhaya karta tha,
Aansoo baha kar mujhe manaya karta tha.
Uski baaton mein kuchh aisa asar tha,
Main barish ke bina hi bheeg jaaya karta tha.
Sone ki fursat kis ko thi,
Woh mujhe sari raat jagaya karta tha.
Bechaini jab hadh se badh jaati thi,
Woh jee bhar ke gale lagaya karta tha.
Woh itni mohabbat karne wala badal gaya,
Jo saath nibhane ki kasam khaya karta tha.
Bas Teri Khatir
Kabhi roye mehfil mein, kabhi tanhai mein hanse,
Khud ko majnu sa bana diya ik teri khatir...
Na sukun raat ko haasil, na mehfil-e-din haasil
Khud ko kya se kya bana diya teri khatir...
Kabhi duniya se kinara kiya, kabhi doston ko bhi rukhsat di,
Apno mein bhi khud ko kaafir sa bana liya, bas teri khatir...!!
Baar Baar
बार बार ज़िन्दगी को आजमाया है हमने,
हर पल हर लम्हा सिर्फ गम पाया है हमने,
दिल के टुकड़े उसी ने किये है हमारे,
दिल की गहराइयों में जिसे बसाया है हमने|
Naya Dard
Naya dard ek dil mein jaga kar chala gaya,
Kal phir woh mere shehar mein aa kar chala gaya.
Jise dhoondhti rahi main logon ki bheed mein,
Mujh se woh apne aap ko chhupa kar chala gaya.
Main uski khamoshi ka sabab poochhti rahi,
Woh kisse idhar udhar ke suna kar chala gaya.
Yeh sochti hoon kaise bhulaaoongi ab use,
Ek shakhs woh jo mujh ko bhula kar chala gaya.
Kuchh Khwaab Hain
Kuchh khwaab hain meri aankhon mein,
Jinhe khwaab hi rehne do.
Na do kuchh rang inhein,
Bas alfaaz hi rehne do.
Aarzoo bunti hai inhein main nahin bunta,
Dil baagi hai mera, meri nahi sunta,
Kab haqikat ban jaaye yeh darta hoon main,
Yeh justazu ke panne mere saath hi rehne do.
Kuchh khwaab hain meri aankhon mein,
Jinhe khwaab hi rehne do.