|
Did you like these Sharab Shayari? If yes then you can share these Sharab Shayari with your friends by sending email or by posting on your webpage or blog or forum. You can also post your own Sharab Shayari here and don't forget to rate these Sharab Shayari.
Show More Sharab Shayari +
Hide More Sharab Shayari -
Pee ke raat ko (Sharab Shayari)
Pee ke raat ko hum unko bhulane lage,
Sharab mein gham ko milane lage,
Daru bhi bewafa nikali yaron,
Nashe mein to woh aur bhi yaad aane lage.
Aashikon ko mohabbat ke alava (Sharab Shayari)
Aashikon ko mohabbat ke alava agar kuchh kaam hota,
Toh maikhane jake har roz yun badnam na hota,
Mil jaati chahne wali usse bhi kahin raah mein koi,
Agar kadmon mein nasha aur hath mein jaam na hota.
Aisi kiran hoon (Sharab Shayari)
Aisi kiran hoon, jise suraj ne kabhi apna nahin samjha,
Aisi khusbu hoon, jise phoolon ne apna nahin samjha.
Aisi dhadkan hoon, jise dil ne kabhi apna na samjha,
Lekin khushnaseeb hoon, jo is sharabi ko maikhane ne apna samjha.
Madhhosh hum hardam (Sharab Shayari)
Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain.
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat (Sharab Shayari)
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.
Pine de aur mujhe (Sharab Shayari)
Pine de aur mujhe ki hosh abhi baki hai,
Tere yaadon ka ek lamha abhi baki hai,
Jana hai ladkhadate hue maihkhane se mujhko,
Pine de thodi, saanson mein jaan bhi baaki hain.
Jaam mein afsane (Sharab Shayari)
Jaam mein afsane dhoondhte hain hum log,
Lamhon mein zamaane dhoondhte hain hum log,
Tu zeher de de sharab keh kar saqi,
Ab to marne ke bahane dhoondhte hain hum log.
Sharabi ilzaam sharaab ko deta hai (Sharab Shayari)
Sharabi ilzaam sharaab ko deta hai,
Aashiq bhi ilzaam shabaab ko deta hai.
Koi nahi karta, kabool apni bhool,
Kantaa bhi ilzaam gulaab ko deta hai.
Doosron ke liye kharaab hi sahi (Sharab Shayari)
Doosron ke liye kharaab hi sahi,
Hamare liye to zindagi ban jati hai.
Sau ghamon ko nichodne ke bad hi,
Ek katra shaarab ban jati hai.
Saqii aur pila ki... (Sharab Shayari)
Saqii aur pila ki pilane ki raat hai,
Pee-pee ke aaj hosh main na aane ki raat hai.
La aaj shaarab mein mujhko dubo de,
Maine suna hai aaj pyaas bujhane ki raat hai.
Aankhon se dil ke fasane nikale (Sharab Shayari)
Aankhon se dil ke fasane nikale,
Maikhane se sharaab ke deewane nikle.
Jo dil ka haal samajh na paya,
Kyon usko hum zakhm dikhane nikle.
Zindagi hai jeene ki liye (Sharab Shayari)
Zindagi hai jeene ki liye to jiya kyun naa jaaye,
Uski bewafai ne diya mauka to piya kyun naa jaaye.
Dil mein ek dard liye (Sharab Shayari)
Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.
Hothon pe aaj unka naam aa gaya (Sharab Shayari)
Hothon pe aaj unka naam aa gaya,
Pyase ke hath mein aaj jaam aa gaya.
Dole kadam to gire unki bahon main ja ke,
Aaj to peena bhi hamare kaam aa gaya.
Botal main sharab (Sharab Shayari)
Botal main sharab, sharab main uski tasveer nazar aati hai,
Nahi peeta to nasha chala jata hai, peeta hoon to uski tasveer chali jati hai.
Ummeed nahi hai phir bhi (Sharab Shayari)
Ummeed nahi hai phir bhi jiye ja raha hoon,
Khali hai botal phir bhi piye ja raha hoon,
Pata nahi woh milenge ya nahi,
Izhar-e-mohabaat ke liye piye ja raha hoon.
Kuchh chehre lajawab lagte hain (Sharab Shayari)
Kuchh chehre lajawab lagte hain,
Mahobbat ke lamhe sharaab lagte hain,
Dard itne sahe mohabbat mein maine,
Ki ab hosh ke pal kharab lagte hain.
Tumko mohabbat ki sachchai (Sharab Shayari)
Tumko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Unko to mohabbat ki gehraai maar dalegi,
Kar ke mohabbat koi nahi bachega yaron,
Unki judaai main hame sharab maar dalegi.
Yaadon se salaam (Sharab Shayari)
Yaadon se salaam leta hoon,
Waqt ke haath thaam leta hoon,
Zindege tham jaati hai pal bhar ke liye,
Jab mein hathon mein sharab-a-jaam leta hoon.
Yeh dil sharabi hai (Sharab Shayari)
Yeh dil sharabi hai,
Har kadam par machal jata hai,
Tum gar chhod ke jao to bhi gham nahin,
Yeh roz naye maikhane se dil behlata hai.
|