»
»
Hindi Shayari

Hindi Shayari

Hindi Shayari of this site is a beautiful concept to share the thought about Shayari. So don't waste your cute thoughts and hindi shayari but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your shayari with world and we encourage all types of hindi poetry like Hindi SMS Shayari, Original Hindi Shayari. So, what are you waiting for, Just start posting your Hindi Shayari. If you like any Hindi Shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these Hindi Shayari.

Khawahishon ka kafila
Khawahishon ka kafila

Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai,
Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho.

Facebook Comment
Chehre ki hasi se
Chehre ki hasi se

Chehre ki hasi se har gam chupao,
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao.
Khud na rutho kabhi par sabko manao,
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.

Facebook Comment
Ek din sagar ne nadi se
Ek din sagar ne nadi se

Ek din sagar ne nadi se pucha,
Kab tak milti rahogi mujh khare jal se?
Nadi ne hans kar kaha,
Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak.

Facebook Comment


loading...
Saawan Ki Boondein
Saawan Ki Boondein

Dharti se saawan ki boondein milne jab bhi aati hain
Uski shikaayat karti hain, kuchh apna dard sunaati hain.

Kuchh rishte naye banaati, ehsaas naya de jaati hain
Har ek kali ko phool, baag ko gulshan kar jaati hai.

Chahat nayi si hoti hai, armaan naya de jaati hai
Kuchh kushi ke pal, kuchh muskaan nayi de jaati hai.

Dharti se saawan ki boondein milne jab bhi aati hain
Uski shikaayat karti hain, kuchh apna dard sunaati hain.

Sookhe kheton se jab saundhi si khushbu aati hai
Sooni aankhon mein phir se ek khwaab naya de jaati hai

Kahin pyar naya hota hai, kahin judaai de jaati hai
Kahin saawan ke jhoole, kahin birha ke geet sunaati hai.

Dharti se saawan ki boondein milne jab bhi aati hain
Uski shikaayat karti hain, kuchh apna dard sunaati hain.

Facebook Comment
Zameen Hogi Jahan, Aasman Bhi Hoga
Zameen Hogi Jahan, Aasman Bhi Hoga

Ki dasht-e-gham mein kahin gulistan bhi hoga
Zameen hogi jahan, aasman bhi hoga

Talaash karte raho pattharon mein mom ka dil,
Sitamgaron mein koi meharbaan bhi hoga.

Zabaan kaat li jaayegi sach jo bologe,
Ki haq ki raah mein yeh imtehan bhi hoga.

Jahan mein zulm ke chehre kabhi nahi chhupte,
Agar bahega lahoo to nishaan bhi hoga.

Badhegi chaahne waalon ki bheed-bhaad agar,
To aas-paas koi bad-ghuman bhi hoga

Yeh jo jali hui laashein hain inke paas "Miraak"
Kisi gareeb ka khaali makaan bhi hoga.

Facebook Comment
Manzil To Yehi Thi
Manzil To Yehi Thi

Jab main chhota tha, shayad dunia bohat badi hua karti thi..
Mujhe yaad hai mere ghar se school tak ka woh raasta, kya kya nahi tha
Wahan, chaat ke thele, jalebi ki dukaan, burf ke gole, sub kuchh,

Ab wahan Mobile Shop, Video parlar hain, phir bhi sub suna hai..
Shayad ab dunia simat rahi hai....
.
.
.
Jab main chhota tha, shayad shaamein bohat lambi hua karti thi,
Main hath mein patang ki dor pakde, ghanton udaa karta tha
Woh lambi cycle race, woh bachpan ke khel
Woh har shaam thak ke choor ho jaana

Ab shaam nahi hoti, din dhalta hai aur seedhe raat ho jaati hai,
Shayad waqt simat raha hai.
.
.
.
Jab main chhota tha, shayad dosti bohat gehri hua karti thi,
Din bhar woh huzoom banakar khelna, woh doston ke ghar ka khana
Woh ladkiyon ki baatein, woh saath sona.

Ab bhi mere kai dost hain, par dosti jaane kahan hai
Jab bhi traffic signal pe milte hain "Hi" karte hain,
Aur apne raaste chal dete hain.
Holi Diwali, birthday, naye saal par bas SMS aa jaate hain
Shayad ab rishte badal rahe hain.
.
.
.
Jab main chhota tha, tab khel bhi ajeeb hua karte the,
Chhupan chhupaai, langdi taang, posham paa, cut the cake, tippi tippy top
Ab internet, office films se fursat hi nahi milti
Shayad zindagi badal rahi hai.
.
.
.
Zindagi ka sabse bada sach yehi hai.. jo aksar kabristan ke baahar board pa likha hota hai
"Manzil to yehi thi, bas zindagi guzar gayi yahan aate aate"
.
.
.
Zindagi ka lamha bohat chhota sa hai,
Kal ki koi buniyaad nahi hai
Aur aane waala kal sirf sapne mein hi hai
Ab bach gaye is pal mein
Aur tamannaon se bhari is zindagi mein hum sirf bhaag rahe hain..
Is zindagi ko jio naa ki kaato.

Facebook Comment
Phool Bankar
Phool Bankar

Phool bankar muskurana zindagi,
Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi.

Facebook Comment
Sabhi naghme
Sabhi naghme

Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate.

Facebook Comment


First Previous 4 5 6 7 8 9 10 11 12   .  .  . 18 Next Last
Shayari Categories
loading...