»
»
Romantic Shayari

Romantic Shayari

"Love Shayari" or Romantic Shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about Love and Romance called Shayari on Love. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your love shayaris with world and we encourage all types of love poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi etc. So, what are you waiting for, Just start posting your jove shayari. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on love.

Meri duaa hai ke
Meri duaa hai ke

Meri duaa hai ke khush raho tum,
Mile na koi gum jaha bhi raho tum.

Samundar ki tarha dil hai gehra tumhara,
Khushiyon se bhara rahe daman tumhara.

Tum jo kaho woh har khawaish puri ho tumhari,
Khuda se bhi bus yahi dua hai humari.

Tohfa kya doon tumhe duaao ke siwa,
Ke khuda humesha rahe razi tumse sada.

Facebook Comment
Wo jo shaamil hai
Wo jo shaamil hai

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!

Facebook Comment
Do dil jaha milege
Do dil jaha milege

Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee,
Pahali hi mulakaat me, kuchh baat to ban jaayegee.
Sataayegee yaad priye ki, tarpaayegee tanhaiyaa,
Chehra dikhaayee degaa, man bhaayegee parchaaiyaa.
Fir bhee milege chhup ke, manjil najar aayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Dil se dil milegaa, najare kahegee baate,
Dharkan badhegee dil ki, aati rahegee yaade.
Teri churiyo ki khan khanahat, kano ko dhun sunaayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Sachche hai dono dil ke, pakke bane pujari,
Too hai meri manjil, mai hoo teri aataari.
Sote huye swapne me, teri tasvir najar aayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Sangharsh khatm hogaa, ban jaayegee sari baat,
Sahmat ki hawa chalegee, le aaugaa mai barat.
Milane ke vakt par too, aane me sarmaayegee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.


Milege dono jab, aayegee subh ghari wah,
Baaho ki haar ka, pahanaayee maalaa jab.
Meri teri khushi ke, fir kaliyaa khil khilaayee,
Do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee.

Facebook Comment
Jaane Kyon
Jaane Kyon

Jaane Kyon Hume Tumse Pyaar Hai
Jaane Kyon Tumhe Lekin Inkaar Hai

Jaane Kyon Tadapte Hain Dekhne Ko Tumhe
Jaane Kyon Nahi Hota Tera Dedaar Hai

Jaane Kyon Dil Dete Hain Hum Tumhi Ko
Jaane Kyon Dil Todte Aap Baar Baar Hai

Jaane Kyon Bhatakti Ho Kashti Ki Tarah
Jaane Kyon Tumhe Sahil Ka Intejaar Hai

Jaane Kyon Yakeen Hai Mujhe Wafa Pe Teri
Jane Kyon Nahi Aapko Mujh Per Etbaar Hai

Facebook Comment
Unhone apna kabhi bnaya hi nhi
Unhone apna kabhi bnaya hi nhi

Unhone apna kabhi bnaya hi nhi, jootha hi sahi pyar dikhaya hi nahi.
Galtiyan apni hum maan bhi jaate, par kya kare kasoor hamara hume btaya hi nahi.

Hazaro jhopdiya jalkar rakh hoti hain, tab jakar kahi ek mahal banta hai.
Aashiqo ke marne pe kafan bhi nhi milta, or hasinao ke marne pe tajmahal banta hai.

Zindagi mein aise mauke aate hain, kuchh lamhe hasate hain kuchh rulate hain.
Kisi bahane hamein yaad karte rehna, warna aaj-kal log naam tak bhool jate hain.

Dil main hai jo dard woh dard kis se bataein, haste hue ye zakhm kise dikhayen,
Kehti hai ye duniya hame khush naseeb, magar is naseeb ki dastaan kise batein.....

Facebook Comment
Kaisi thi woh raat
Kaisi thi woh raat

Kaisi thi woh raat kuch keh sakta nahi main
Chahoon kehna to bayan kar sakta nahi mai,

Dulhan ban ke meri jab woh bahoon main aayee thi
Sej saji thi phoolon ki par us ne mehkai thi,

Ghunghat mein ik chand tha aur sirf tanhai thi
Awaaz dil ke dhadak ne ki bhi phir zor se aayee thi,

Pyar se jo maine ghunghat chand par se hataya tha
Pyar ka rang bhi utarkar uske chehre par aya tha,

Bahoon mein le kar usko phir laboo ki lali churai thi
Us sard raat mein saanse bhi shola ban kar takrai thi,

Tika,bindi,kangna, payal sabne shor machaya tha
Jab uske shokh badan ko maine haath lagaya tha,

Doob gaye the hum dono us dehekti pyar ki aag mein
Tod diya tha hum ne kaliyo ko uske pyar ke baag mein,

Kya batlaaye ab hum, woh raat kis kadar nirali thi
Hamare suhag ki woh raat,jo itni matwali thi........

Facebook Comment
First Previous 48 49 50 51 52 53 54 55 56   .  .  . 56
Shayari Categories
loading...