»
»
»
Tera Sath Paane Ko

Tera Sath Paane Ko

Ab bhi taaza hai zakhm seene mein,
Bin tere kya rakha hai jeene mein,
Hum to zinda hain tera sath paane ko,
Warna deir kitni lagti hai zaher peene mein.




More Sad Shayari

Jeena To Mujhe Bhi Aata Hai

Har shakhs mujhe zindagi jeene ka tareeka batata hai
Unhein kaise samjhaun ki
Ek khwaab adhoora hai mera
Warna jeena to mujhe bhi aata hai..!!

Meri Tanhaai

Zindagi yun hui basar tanha
Kaafila saath tha aur safar tanha!!

Apne saaye se chaunk jaate hain
Umra gujri hai is kadar tanha!!

Raat bhar bolte hain sannaate
Raat kaate koi kidhar tanha!!

Din guzarta nahi hai logon mein
Raat hoti nahi basar tanha!!

Hamne darwaaze tak to dekha tha
Phir na jaane gaye kidhar tanha!!

Hamaari Zindagi

Zindagi hamaari yun hi sitam ho gayi
Khushi na jaane kahan dafan ho gayi
Likha Khuda ne mohabbat sabki taqdeer mein
Hamaari baari aayi to syaahi hi khatm ho gayi.

Show More Sad Shayari


Shayari Categories