Jab jab dard ka baadal chhaya
Jab gham ka saya lehraya
Jab aansu palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai?
Duniya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda gham hai sabka kissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai.
Ab To Aap Ke Liye
Ab to aap ke liye ajnabi hum ho gaye hain
Baaton ke silsile bhi kam ho gaye hain
Khushiyon se zyada gham ho gaye hain
Kya pata yeh waqt bura hai ya bure hum ho gaye hain
More Sad Shayari
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Hamein Kya Pata Tha
Hamein kya pata tha mausam aise ro padega,
Humne to aasman ko bus apni dastan hi sunaai thi.
Likhun Kuchh Aaj
Likhun kuchh aaj yeh waqt ka takaza hai,
Mere dil ka dard abhi taaza taaza hai,
Gir padte hain mere aansu mere hi kaagaz par
Lagta hai kalam mein syaahi ka dard zyada hai.