»
»
Sad Shayari

Sad Shayari

"Sad Shayari" or dard shayari section of this site is a concept to share the pain of thought about broken heart in love. Here on this page you will get new sad shayari in Hindi, Urdu and English. We have latest sad shayari for Whatsapp, Facebook and many other social platform where you can send them to express your feelings. These are also called dard bhari shayri or bewafa shayari.

Jee uska bhi bhar aaya
Jee uska bhi bhar aaya

Jee uska bhi bhar aaya rula kar mujhko,
Thanda na raha khud bhi jala kar mujhko.
Khud milgaya khaak mein mila kar mujhko,
Kya fateh hui, shikast paa ker mujhko.

Facebook Comment
Use to kho hi chuke
Use to kho hi chuke

Use to kho hi chuke phir khyal kya uska,
Ye fikr kaisi ke ab hoga haal kya uska.

Wo ek shakhs jise khud hi chor baithe the,
Ghulaye deta hai dil ko malal kya uska.

Tumhari aankhon mein chhalkein nidamtain kaise,
Jawab ban ne laga hai sawal kya uska.

Tumhare apne iradon mein koi jhol tha,
Kaho ke milna tha aisa muhaal kya uska.

Wo nafraton ke bhanwar mein bhi muskura ke mila,
Ab is se badh ke bhala ho kamal kya uska.

Ab is tarha bhi na yadon ki kirchiyan chuniye,
Na tha firaq se behtar visal kya uska.

Ye soch kar na mile phir us se kabi,
Ke jaane hoga nidamat se haal kya uska.

Facebook Comment
Kam hoti jaati hai
Kam hoti jaati hai

Tabiyat in dinon begana-e-gham hoti jaati hai,
Mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai.

Wohi hai shahid-o-saaqi, magar dil bujhtaa jaata hai,
Wohi hai shammaa lekin roshani kam hoti jaati hai.

Qayamat kya ye aye husne do aalam hoti jaati hai,
Ke mahafil to wahi hai, dilkashi kam hoti jaati hai.

Wohi maikhana-o-sahabaa, wohi saagar wohi sheesha,
Magar aavaz-e-noshaano se maddham hoti jaati hai.

Wohi hai zindagi lekin 'Jigar' ye haal hai apanaa,
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai.

Facebook Comment
Kahan tak jaati
Kahan tak jaati

Dasht-e-dariya ke ye us paar kahan tak jaati?
Ghar ki deewar thi, deewar kahan tak jaati?

Mit gai hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,
Hijr mein ye husrat-e-deedar kahan tak jaati?

Thak gaye honth bhi tera naam lete lete,
Ek hi lafz ki ye tukraar kahan tak jaati?

Tu bohat door bohat door gaya tha mujhse,
Meri aawaz mere yaar kahan tak jaati?

Har taraf husn ke baazar lage the,
Meri ye chashm-e-khareedar kahan tak jaati?

Facebook Comment
Ek hi baat zamane ki
Ek hi baat zamane ki

Ek hi baat zamane ki kitabon mein nahin,
Jo gham-e-dost mein nasha hai sharabon mein nahin.

Husn ki bheekh na mangenge na jalvon ki kabhi,
Hum faqeeron se milo khul ke, hijaabon mein nahin.

Har jagah phirte hain aawara khayaalon kii tarah,
Yeh alag baat hai hum aapke khwabon mein nahin.

Na dubo saagar-o-meena mein yeh gham aye 'fakir',
Ke muqaam inka dilon mein hai, sharaabon mein nahin.

Facebook Comment
Aankhein bheeg jati hain
Aankhein bheeg jati hain

Tumhara naam likhnae ki ijazat chhin gayi jab se,
Koi bhi lafz likhta ho to aankhein bheeg jaati hain.

Hazaron mausmon ki hukmarani hai mere dil par,
Main jab bhi tanhha hoon to aankhein bheeg jati hain.

Facebook Comment
Wajood apna na rooh apni
Wajood apna na rooh apni

Wajood apna na rooh apni,
Ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil lagi mein sakoon paya,
Na aashqi mein qarar paya,

Na wasl lamhe hi raas aaye,
Na firaq hi hum guzar paye,

Ajeeb chahat ke marhale hain,
Na jeet paye na haar paye,

Na teri yadoon ki dhundh utri,
Na dil ke daman ko jhaar paye,

Na ankhein khawab ko dhoondh paayin,
Na khwab ankhon ko dhund paye.

IK tmasha ye zeest thehri...!!!

Facebook Comment
Jab log juda ho jate hain
Jab log juda ho jate hain

Jab log juda ho jate hain,
Sab ehad hawa ho jate hain.

Jab neeyat theek na ho apni,
Sab amal gunaah ho jate hain.

Jab tere baare mein sochein,
Sab lafz dua ho jate hain.

Jab ghurbat dar pe dastak de,
Sab yaar khafa ho jate hain.

Jab waqt dikhata hai ankhein,
Sultan bhi gada ho jate hain.

Tu jab bhi mere sath na ho,
Tyohar saza ho jate hain.

Jab nafrat lafzon mein utre,
Tab apne juda ho jate hain.

Facebook Comment

First Previous 3 4 5 6 7 8 9 10 11   .  .  . 75 Next Last