»
»
»
Shayari from Film "Diljale"

Shayari from Film "Diljale"

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye
Yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,
Ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi

~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~

Aarzoo jhooth hai,
Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..
Dil kabhi kisi se lagana nahi.

~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~

Kyon banaati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum.
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhool jayogi tum.




More Bollywood Shayari

Shayari from Film "Sarfarosh"

Apni aakhon ke samunder main utar jaane de,
Tera mujrim hoon, mujhe doob ke mar jaane de.
Zakham kitne teri chaahat se mile hain mujhko,
Sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane de.

~:~:~:~:~:~::~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:~:

Phool khilte hain baharon ka samaa hota hai,
Aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai.
Dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
Ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai.

Shayari from Film "Hum Aapke Hain Kaun"

Kaate nahin kat-te lamhe intezaar ke,
Nazaren bichaye baithe hain raste pe yaar ke,
Dil ne kaha dekhe jo jalwe husne yaar ke,
Laya hai unhe kaun falak se utaar ke.

Shayari from Film "Raaz"

Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai,
Hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai.
Jab aata hai tera naam mere naam ke saath,
Naa jano kyon log hamare naam se jalte hai.

Facebook Comment
Show More Bollywood Shayari


Shayari Categories