»
»
»
Ganwa Baithe

Ganwa Baithe

Masjid to hui haasil humko, khaali imaan ganwa baithe.
Mandir ko bachaya lad-bhidkar, khaali Bhagwan ganwa baithe.
Dharti ko humne naap liya, hum chaand sitaaron tak pahunche,
Kul kaaynaat ko jeet liya, khaali insaan ganwa baithe.
Mazhab ke thekedaaron ne aaj phir hamein yun bhadkaya,
Ke kaazi aur pandit zinda the, hum apni jaan ganwa baithe.
Sarhad jab-jab bhi bant-ti hai, dono nuksan uthate hain,
Hum Pakistan ganwa baithe, woh Hindustan ganwa baithe.




More Hindi Shayari

Woh Dhaga Hi Tha

Woh dhaga hi tha jisne poora jeevan motiyon ko de diya,
Aur yeh moti apni tareef par itraate rahe umra bhar.

Kya Bharosa Hai Zindagi Ka

Kya bharosa hai zindagi ka
Insaan bulbula hai paani ka
Jee rahe hain kapde badal badal kar
Ek din ek kapde mein le jaayenge kandhe badal kar.

Girna Bhi Achcha Aai

Girna bhi achcha hai
Aukaat ka pataa chalta hai
Badhte hain jab hath uthane ko
Apno ka pataa chalta hai!

Jinhein gussa aata hai
Woh log sachche hote hain
Maine jhoothon ko aksar
Muskuraate huye dekha hai

Seekh raha hoon main
Ab bhi insanon ko padhne ka hunar
Suna hai chehre par
Kitaabon se zyada likha hota hai.

Facebook Comment
Show More Hindi Shayari


Shayari Categories