»
»
Romantic Shayari

Romantic Shayari

"Love Shayari" or Romantic Shayari section of this site is a very beautiful concept to share the beauty of thought about Love and Romance called Shayari on Love. So don't waste your beautiful thoughts and shayaris but share them with us so that world can see your thinking and truly in your way. We provide a platform where you can share your love shayaris with world and we encourage all types of love poetry in different languages like Urdu, Hindi, Punjabi etc. So, what are you waiting for, Just start posting your jove shayari. If you like any shayari you can send it to your friends. Also don't forget to rate these shayaris on love.

Bahana Nahi Aata
Bahana Nahi Aata

Dil ka haal batana nahi aata
Kisi ko aise tadpaana nahi aata
Sun-na chaahte hain aapki awaaz
Magar baat karne ka bahana nahi aata

Kisi Na Kisi Pe
Kisi Na Kisi Pe

Kisi na kisi pe kisi ko aitbar ho jaata hai
Ajnabi koyi shakha yaar ho jaata hai
Khoobiyon se nahi hoti mohabbat sadaa
Kamiyon se bhi aksar pyaar pyar ho jaata hai

Woh Pal
Woh Pal

Sukun milta hai jab unse baat hoti hai
Hazar raaton mein wo ek raat hoti hai
Nigah uthakar jab dekhte hain wo meri taraf
Mere liye wohi pal poori kaaynat hoti hai.

loading...
Yaadein Basa Ke
Yaadein Basa Ke

Pyar karo to hamesha muskura ke
Kisi ko dhokha na do apna bana ke
Kar lo yaad jab tak hum zinda hain
Phir na kehna ke chale gaye dil mein yaadein basa ke

Mujhe Inkar Nahin
Mujhe Inkar Nahin

Teri mohabbat se mujhe inkar nahin
Kaun kehta hai jaan mujhe tujhse pyar nahin
Tujhse vaada hai sath nibhane ka
Par mujhe apni saanson pe aitebar nahin.

Mana Ke Woh Khafa Rahe Honge
Mana Ke Woh Khafa Rahe Honge

Mana ke mujhse woh khafa rahe honge!
Ho sakta hai woh mujhe aazma rahe honge!
Hum utni hi shiddat se yaad karenge unhein!
Jitni shiddat se woh hamein bhula rahe honge.

Ek Baat Kahoon
Ek Baat Kahoon

Sun lo jo agar to ek baat kahoon,
Tere dil ko main apni kainaat kahoon,
Basa kar tujhe apni jism-o-jaan mein,
Mohabbat ko main apni hayaat kahoon.

Hum To Sirf Dost The
Hum To Sirf Dost The

Kalam thi hath mai likhna sikhaya aapne,
Takat thi hath mai hosla dilaya aapne,
Manzil thi samne rasta dikhaya aapne,
Hum to sirf dost the, Aashiq banaya aapne.



1 2 3 4 5 6 7 8 9   .  .  . 56 Next Last